Wednesday, April 7, 2010

...Bas Sirf Ek Baar Aur...


Agar jeena hua to jeena chahungi,bas sirf ek baar aur,
Apni maut par nazara dekhna chahungi,bas sirf ek baar aur.

Agar us khuda ki inayat rahi to,us maut par aansuu ki jagah phool gierenge,
par ho sakta hai us pr,phool ki jagah kaante bhi dikhenge.
Yun to pata nahi,maine kya galat kiya,
par us parvardigar se apne kiya ka hisab mangungi,bas sirf ek baar aur.

Apno ke to pyar me,is tarah se bandhe hue hai hum,
ki woh agar hume chod bhi de,to unke kadmo me gir marenge hum.
us pyar ki khatir,kisi se lad jayenge hum,
agar ho saka to,isii ke sath dafan ho jayenge hum.

Sayad woh hume pyar karte hai,par jatate nahi,
par is paar unke is pyar ka hisab mangungi,bas sirf ek baar aur.

Hamari jindgi rahe na rahe,hume kuch gum nahi,
par apka pyar hamesha hamare upar rahe,saayien ki tarah,
Bas Sirf Ek Baar Aur,
Bas Sirf Ek Baar Aur.

...Komal Si Pari...



Ek komal si pyari si pari,
chali ek uunchi udan udne,
udne lagi hai aasma ke saayon me,
par use ek dar hai,
ek dar jo use hamesha satata hai,
ek bhay jo use lagta hai,jo use apno se door karta hai,

Woh aise kyon darti hai?
woh aise hamesha apne ko kyon alag karti hai?
woh kyon apne aap se darti hai,kyon?

Par mujhe yakeen hai us pari par ki woh udegi or udti jayegi,
ek aisi uunchai par jise chuna mushkil hi nahi namukin bhi hoga,

Haan ek komal si pari,
Haan ek komal si pari.

Monday, April 5, 2010

...Jindgi...


Pal bhar me khushi mile agar,to simat jati hai,
or pal bhar me gum mile agar,to jindgi bhi bojh ban jati hai.

Pyar ki tasveer saaf hai agar,to pyar krne ki aadat kyon ban jati hai?
lautne ki gunjaish ni hai agar,to intazar karne ki lat kyon ban jati hai?
ek galati ki saza me hazaro aanshu hai agar,to fir use hi khush rakhne ki dillagi kyon lag jati hai?

Hamara pyar hamara nahi agar,to jindgi uske bina ruk kyon jati hai?
hamara ek aanshu use ek muskaan deti hai agar,
to yeh aankhen sare aanshu baha kyon nahi deti hai?

Sapne,sapne hi hote hi agar,to ab bhi unke sach hone ki ummidien kyon lagi rahti hai?
woh hamara nhi agar,to uske liye har din rone ki aadat kyon lag jati hai?

Pyar yahi hai agar,to uski jagah saanse kyon nahi ruk jati hai?
ab jindgi ko jiye kaise,samajh nahi aata,
usi ke sath rahkar,usse alag hai,
yeh sochkar dil tham sa hai jata.

Koi Itna Toh Bataye Ki Is Rishte Ko Is Azeeb Mod Pe Nibhaya Kaise Hai Jata?

...Chiria (bird)...


Ek CHIRIA ne bagon me chakana suru kar diya,
uske chakne ki awaz se kisi ne kisi ko bhulana suru kar diya,
ek soone se jangal me sayad kisi ko akela chod diya,
or is akelepan ne sayad hume kuch likhne par majbur kar diya,
kuch humare likhne se hume acchha hi to mahsus hota hai,
par kisi ko to chiria ka chachana hi mahsus hota hai,
chalo kuch nahi,fir bhi ek se milkar dusre ko bhulana acchha nahi,
par jo kuch bhi ho,woh tab bhi or ab bhi or hamesha kisi ka acchha dost tha, hai ,or rahega,
or uska yeh acchha dost hamesha khushi ke liye dua or fariyaad karega.

...Tab Na Jane Kya Hota Hai?...


Jab dil me chupi ho koi bat,jo hotho pe na aaye,
jab aankhon ki bhasha bhi koi apna na pad paye,
jab ek dard kuch had se bad jaye,
Tab Na Jane Kya Hota Hai?
Na Jane Kya Hota Hai?

Kuch apna hai is tarah se jo chute se na chute,
Kuch anjaan rishte hai is tarah se jo tute se na tute,
majburiyon ka daman jab apna sa lagne lagta hai,
Tab Na Jane Kya Hota Hai?
Na Jane Kya Hota Hai?


Jahan socha nahi us rashte pe a gaye,
aage kya hog yeh soch bhi na paye,
jis majil ka rashta pata nahi,uske sapne saja aaye,
jab ek pyara sapna kanch ki tarah bikhrane sa lagta hai,
Tab Na Jane Kya Hota Hai?
Na Jane Kya Hota Hai?

Kisi ko pane ke liye kuch khona padta hai,
jab woh khona bhi dil ko namanjur hota hai,
tab dil un do rahon pe hota hai,
jahan na hasi or na gum ka pata hota hai,
tab aansuon ke aane ka andesha sa hot hai,
Tab Na Jane Kya Hota Hai?
Na Jane Kya Hota Hai?

Sunday, April 4, 2010

...Mera Parivaar...



Ek pyara sa GHAR hai hamara,
usme rahta parivaar hamara.

Ek Papa duzi hai Mummy,
teeze me hum teeno bahne.
or ek pyar sa bhaiya,
yahi hai sansaar hamara.

Dadi Ji ke aashirwad se,
hamesha khusiyali chayegi,
or is khushyali ki chavo me,
rahta hai gharvaar hamara.

Ek duje se pyar hai sabko,
samne sab akdhe rahte hai,
door hote hi bhar aati aankhe,
yeh hostel hi hai ab dushman hamara.

Jinki chavo me bade hue hum,
aaj unse hi door ho gye,
unki chavo me jne ko,
bhar bhar aata hai dil hamara.

Pal pal rone se kya hoga,
bachpan to ab choot gaya,
unse alag hokar ab rahna,
is dil ko namanjur laga,
fir bhi ise majburi samajhkar,
in palo ko bitana ab manjur sa hai,

Par fir bhi in bachpan ke palo ko yaad kar,
rota hai yeh dil hamara......

...Ek Nanhi Pari...





Azaad Ek PARI,
Aasmaa ko chune chali,
jiske astitva me duniya basi,
aaj usi me simtane chali....

simatati gayi,udati gayi,
mudkar na peeche dekhti,
un baadlo ki gardisho me,
pankh psarne chali.....

Pata na tha use kabhi yeh,
kuch hoti hai takdeer bhi,
takdeer bhi tasveer se,
ab svaal yeh puchti rahi.....

Kahan gyi sahmi pari woh,
chalo thi khvab dhudne jo,
ek khak ki mitti se jo,
darti rahi,darti rahi.....

sawal ke jawab me,kuch panktiyan is kadr mili.......

Tut gyi,ruth gyi is tarah se,
ki saanse bikhar gayi,
fir bhi bachi saanso se kuch lafz dhudti rahi,
intazar karti rahi,karti rahi,is tarah se,
ki ab yeh saanse bhi sath chodke chali...

Ek nanhi si pari.....
Haan ek nanhi si pari..........

...Tha Ek Tota or Ek Maina ...





Tha ek Tota or ek Maina,
Bade pyar se unki raina,
sath me hasna,sath me rona...
or sath dana lana.
Bhut pyar tha unke beech me kahte the yeh log sabhi,
par Tota aisa hoga Maina sang hairaan sabhi.

Hai yeh kahani badi purani par aaj se kitna milti hai,
chalo sunate tumhe hum yeh,
yeh kuch apni apni si lagti hai......

Ek baar dana lane ko,
jab dono ghar se nikle,
kuch ghabraye,kuch sahme,
dekha to ek pinjre me the.
dono khush the fir bhi,
qi woh ab bhi sath me rahte the.

Ek din pinjra kuch der ko khula tha,
shart yeh thi...
bas kisi ek ko pinjre se nikalna tha....

Maina boli jao Tote,
par jaldi bapas aana,
mujhe bhi kuch samay baad apne sang yun le jana...
Maina khamos thi yeh kahkar
or Tota fir chala gya...
Maina ke dil ke pinjre ka jaise fir se tala lag sa gaya,
Woh intazar me Tote ke ,apni jindigi guzarti rahi,
woh ayega,woh ayega,
yeh kahkar khud ko vishwas dilati rahi,

Par na woh aaya,na woh aaya,or na aayi uski parchayi,
antim samay me fir bhi Maina ne,
ek awaz Tote ko lagai...
Jab saans chod jane lagi,tab Maina thi chillai......

Ki he Prabhu,ki he prabhu.......
mera to jeevan nikal gaya,
aage ke kal ko shikhla dena ki pyar se bharosa ab uth sa hai gya,
Par ek dua hai,puri krna,
jab bi Tote se milna,
meri ek baat pahucha dena....

Ki kya kabhi ek pal ke liye bhi pyar kiya apni Maina se,
yeh shabad puch kar batla dena....

Ab jati hoon pyare Tote,
khush rahna muskurate rahna,
kabhi bhi yaad aye hamari toh,
hawaon ki tarah bhula dena.

Yeh thi kahani badi purani.....
tha ek Tota or ek Maina..
or yahi thi un dono ki raina......