Ek pyara sa GHAR hai hamara,
usme rahta parivaar hamara.
Ek Papa duzi hai Mummy,
teeze me hum teeno bahne.
or ek pyar sa bhaiya,
yahi hai sansaar hamara.
Dadi Ji ke aashirwad se,
hamesha khusiyali chayegi,
or is khushyali ki chavo me,
rahta hai gharvaar hamara.
Ek duje se pyar hai sabko,
samne sab akdhe rahte hai,
door hote hi bhar aati aankhe,
yeh hostel hi hai ab dushman hamara.
Jinki chavo me bade hue hum,
aaj unse hi door ho gye,
unki chavo me jne ko,
bhar bhar aata hai dil hamara.
Pal pal rone se kya hoga,
bachpan to ab choot gaya,
unse alag hokar ab rahna,
is dil ko namanjur laga,
fir bhi ise majburi samajhkar,
in palo ko bitana ab manjur sa hai,
Par fir bhi in bachpan ke palo ko yaad kar,
rota hai yeh dil hamara......
No comments:
Post a Comment
hiiiiiiiiii